Here are best collection of Maa Poetry in Urdu, Show love to mother with our beautiful poetry collection. Share on social media to show how you close with her. This poetry contains the glory of the mother. The mother is an entity whose love and affection no one can deny.
Lakh Dhondo Phirہ Aaghosh-E-Muhabbat
Baad Marny Kay Phir Maa Nahi Milti
♥♥————♥♦♥————♥♥
Rook Leta Hai Balaon Ko Apny Uper
Maan Ka Anchal Mujhy Jabrail Ka Par Lagta Hai
♥♥————♥♦♥————♥♥
Labon Pay Us Ke Bad Dua Nahi Hoti
Bas Ik Maan Hay Jo Kabhi Khafa Nahi Hoti
♥♥————♥♦♥————♥♥
Meri Maan Aaj Bhi Anparh Hai
Aik Roti Mangon Do Lay Aati Hai
♥♥————♥♦♥————♥♥
Mughe Tugh Say Behad Muhabbat Hai Maa
Ton Jannat Say Bhi Khubsurat Hai Maa
♥♥————♥♦♥————♥♥
Ik Tera He Piyar Sacha Hai Maa
Logon Ki Sharten He Bohat Hain
♥♥————♥♦♥————♥♥
Maan Teri Khushbu Nahi Milti Tera Lehja Nahi Milta
Mujh Ko Tu Iss Duniya Main Koi Tujh Sa Nahi Milta
♥♥————♥♦♥————♥♥
Ik Mudat Say Meri Maan Soi Nahi Tabish
Main Na Ik Baar Kaha Tha Mujhy Dar Lagta Hay
♥♥————♥♦♥————♥♥
Par Kiya Lagy Kay Ghonsaly Say Ur Gaye Sabhi
Wo Phir Akeli Reh Gai Bacho Ko Paal Kar
♥♥————♥♦♥————♥♥
Khuda Ka Arsh Thar Tharany Lagta Hai
Jab Koimaa Ko Satany Lagta Hai
♥♥————♥♦♥————♥♥
Khuda Kay Baad Jis Nay Mughe Pura Kiya
Ahl-E-Jahan Suno Wo Meri Maa Hai
♥♥————♥♦♥————♥♥
Ajab Main Nay Maa Ka Piyar Dekha
Kha Beta Raha Tha, Pait Maa Ka Bhar Raha Tha
♥♥————♥♦♥————♥♥
Duniya Main Mujhay Jo Bhi Mila Jitna Mila Hai
Sab Kuch Ye Meri Maan Ki Duaaon Ka Sila Hai
♥♥————♥♦♥————♥♥
Khubsoorti Ki Inteha Bepanah Dekhi
Jab Main Ne Muskurati Hui Maa Dekhi
♥♥————♥♦♥————♥♥
Maa Pehle Aansu Aate The To Tum Yaad Aati Thi
Aaj Tum Yaad Aati Ho Aur Aansu Nikal Aate hain
♥♥————♥♦♥————♥♥
Munawar Maa Kay Aagy Youn Kabhi Khul Kar Nahi Rona
Jahan Bunyad Ho, Itni Nami Achi Nahi Hoti
♥♥————♥♦♥————♥♥
Dard Chala Jata Hai Meray Ghar Ki Dehleez Say Udas Ho Kar
Pareshan Nahi Hota Main Kabhi Apni Maan Kay Pass Ho Kar
♥♥————♥♦♥————♥♥
Ab Unhe Mera Bolna Acha Nahi Lagta
Bachpan Main Jo Mugh Say Kahanian Suna Karty Thay
♥♥————♥♦♥————♥♥
Mudaton Bad Mayasar Howa Maa Ka Anchal
Mudaton Bad Hamey Neend Suhani Aai
♥♥————♥♦♥————♥♥
Comments are closed.