Poet: Mirza Ghalib
Mahram Nahin Hai Tu Hi Nava Ha-e-Raz Ka
Mahram nahin hai tu hi nava ha-e-raz ka
Yan warna jo hijab hai parda hai saz ka
Rang-e-shikasta subh-e-bahaar-e-nazara hai
Ye waqt hai shaguftan-e-gul-ha-e-naz ka
Tu aur su-e-ghair nazar-ha-e-tez tez
Main aur dukh teri mizha-ha-e-daraaz ka.
Sarfa hai zabt-e-ah mein mera wagarna mein
Toama hun ek hi nafas-e-jaan-gudaz ka
Hain bas-ki josh-e-baada se shishe uchhal rahe
Har gosha-e-bisat hai sar shisha-baz ka
Kawish ka dil kare hai taqaza ki hai hunuz
NaKHun pe qarz is girah-e-nim-baz ka
Taraj-e-kawish-e-gham-e-hijran hua ‘asad’
Sina ki tha dafina gohar-ha-e-raaz ka.
Comments are closed.