Poet: Ahmad Faraz
Guftagu Achi Lagi Zoq-e-Nazar Acha Laga
Guftagu achi lagi zoq e nazar acha laga
Muddaton key baad koi hamsafar acha laga
Dil ka dukh jana tou dil ka masla hai per hame
Es ka hans dena hamarey haal per acha laga
Har tarha ki be saro samaniyon ke bawajood
Aaj wo aaya tou mujh ko apna ghar acha laga
Baghban gulcheen ko chahey jo kahe ham ko tou phool
Shaakh se barh kar kafe dildar per acha laga
Koi maqtal men na pohncha kon zalim tha jisey
Tegh e qatil sey zyada apna sar acha laga
Ham bhi qail hein wafa mein estwari ke magar
Koi puchey kon kis ko umr bhar acha laga
Apni apni chahtain hain log ab jo bhi kahen
Ek pari paiker ko ek aashfta ser acha laga
Meer ke maned akser zeest kerta tha Faraz
Tha tu wo diwana sa shayir acha laga…!
Comments are closed.