Mizaaj Ham Se Ziyaada Judaa Na Tha Us Ka

Poet: Ahmad Faraz

Mizaaj Ham Se Ziyaada Judaa Na Tha Us Ka

Mizaaj Ham Se Ziyaada Judaa Na Tha Us Ka part 1Mizaaj Ham Se Ziyaada Judaa Na Tha Us Ka part 2

Mizaaj ham se ziyaada judaa na tha us ka,
Jab apne tor yehi thay to kya gila us ka.

Woh apne gham mein tha bekhabar raha mujh se,
Isey gumaan bhi nahi mein nahi raha us ka.

Woh Barq-Ro tha mager reh gaya kaha jaaney,
Ab intezaar kerey gay shikasta-Paa us ka.

Chalo yeh sel bilakez hi banay apna,
Safina is ka, khuda is ka, Nakuza us ka.

Ye ahle dard bhi kis ki dehai dety hain,
Wo chup bhi ho tu zamana hai ham nawa us ka.

Hamay ne tark-e-taluk mein pehal ki kay faraz,
Woh chahta tha mager hosla na tha us ka…!