Poet: Mirza Ghalib
Ek Ek Qatra Ka Mujy Dena Para Hisab
Ek ek qatra ka mujy dena para hisab
Khun-e-jigar wadiat-e-mizhgan-e-yar tha
Ab main hun aur matam-e-yak-shahr-arazu
Toda jo tu ne aaina timsal-dar tha
Galiyon mein meri nash ko khinche phiro ki main
Jaan-dada-e-hawa-e-sar-e-rahguzar tha
Mauj-e-sarab-e-dasht-e-wafa ka na puchh haal
Har zarra misl-e-jauhar-e-tegh aab-dar tha
Kam jaante the hum bhi gham-e-ishq ko par ab
Dekha to kam hue pa gham-e-rozgar tha
Kis ka junun-e-did tamanna-shikar tha
Aaina-KHana wadi-e-jauhar-ghubar tha
Kis ka KHayal aaina-e-intizar tha
Har barg-e-gul ke parde mein dil be-qarar tha
Jun ghuncha-o-gul aafat-e-fal-e-nazar na puchh
Paikan se tere jalwa-e-zaKHm aashkar tha
Dekhi wafa-e-fursat-e-ranj-o-nashat-e-dahr
Khamyaza yak-daraazi-e-umr-e-KHumar tha
Subh-e-qayamat ek dum-e-gurg thi ‘asad’
Jis dasht mein wo shoKH-e-do-alam shikar tha.
Comments are closed.