More difficult to wait someone when you fell in love, poets capture these feelings in form of poetry. We collected Intezar Poetry in Urdu that express your feelings in the better way so read and share to love one’s.
Un kay aanay kay baad bhi jalib
Un kay aanay kay baad bhi jalib
♥♥———-♥♦♥———-♥♥
Mujh ko ye aarzo woh uthaen naqab khud
Unko ye Intezar taqaza kare koi
♥♥———-♥♦♥———-♥♥
Janta ha kh woh na aain ge
Phir bhi masroof-e-antezar hai dil
♥♥———-♥♦♥———-♥♥
Mana kh teri deed ke qabil nahi hon mein
Tu mera shauq dekh mera intezar dekh
♥♥————♥♦♥————♥♥
Barha tera intezar kiya
Apne khawabon mai ik dulhan ki tarah
♥♥————♥♦♥————♥♥
Tere aany ki kiya umeed? Magar
Kaise kah don keh intezar nahin
♥♥————♥♦♥————♥♥
Muhabbat kiya hai uss shakhs say pucho
Jis nay dil tutnay kay baad bhi intezar kiya
♥♥————♥♦♥————♥♥
Kaun aa ega yahan koi na aaya ho ga
Mera darwaza hawaon ni hilaya ho ga
♥♥————♥♦♥————♥♥
Yeh jo pathar hai aadmi tha kabhi
Iss ko kehtay hain intizar mian
♥♥————♥♦♥————♥♥
Jise na aany ki qasmain main dy k aaya hon
Usi ke qadmon ki aahat ka intezar bhi hay
♥♥————♥♦♥————♥♥
Aadhi se ziyda shab-e-gham kaat chuka hon
Ab bhi agr aa jao to ye raat badi hay
♥♥————♥♦♥————♥♥
Kon kehta hai keh waqt buhat tez guzarta hai
Tum kabhi kisi ka intizar tu kar k dekho
♥♥————♥♦♥————♥♥
Maine dil diya pyar ki hadh thi
Jaan dee aitbaar ki hadh thi
Mar gaye hum khuli rahi aankhen
Yeh mere intezar ki hadh thi
♥♥————♥♦♥————♥♥
Woh chand kh ke gia tha kh aaj nikly ga
Usi intezar mein betha hoa hon sham se
♥♥————♥♦♥————♥♥
Woh aa rahay han, wo aaye haan, wo aa rahay hoon gaay
Shab e firaq yeh keh kar guzar di ham nay
♥♥————♥♦♥————♥♥
Ik raat giya tha wo jahan baat rook kay
Ab tak ruka huwa hoon wahin raat rook kay
♥♥————♥♦♥————♥♥
بہت سے لوگ تھے مہمان میرے گھر لیکن
وہ جانتا تھا کہ ہے اہتمام کس کے لئے
Bohat se log the mehman mere ghar lekin
Wo janta tha kh hai ehtemam kis ke liye
♥♥————♥♦♥————♥♥
بھرے جہان میں کوئی میرا یار تھا ہی نہیں
کِسی نظر کو میرا اِنتظار تھا ہی نہیں
Bhary jahan main koi mera yaar tha hi nahi
Kisi nazar ko mera intizar tha hi nahi
♥♥————♥♦♥————♥♥
اب تو اس راہ سے وہ شخص گزرتا بھی نہیں
اب کس امید پہ دروازے سے جھانکے کوئی
Ab to is raah se wo shaks guzarta bhi nahi
Ab kis umeed pe darwaze se jhanke koi
♥♥————♥♦♥————♥♥
ہم پہ واجب ہے انتظار تیرا
خود کو رکھیں گے عمر بھر تنہا
Ham pay wajib hay intezar tera
Khud ko rakhain gain umer bhar tanha
♥♥————♥♦♥————♥♥
کل تھکے ہارے پرندوں نے نصیحت کی مجھے
شام ڈھل جائے تو محسنؔ تم بھی گھر جایا کرو
Kal thaky haare parindon ne nasihat ki mujhe
Sham dhaal jaaye to ‘Mohsin’ tum bhi ghar jaaye karo
♥♥————♥♦♥————♥♥
یہ جو مہلت جسے کہے ہیں عمر
دیکھو تو انتظار سا ہے کچھ
Ye jo mohlat jise kahe hain umar
Dekho to intezar sa hai kuch
♥♥————♥♦♥————♥♥
روتی ہوئی آنکھوں میں انتظار ہوتا ہے
نا چاہتے ہوئے بھی پیار ہوتا ہے
کیوں دیکھتے ہیں ہم ہو سپنے
جن کے ٹوٹنے پر بھی ان کے سچ ہونے کا انتظار ہوتا ہے
Roti Hoi aankhon mein intezar hota hai
Na chahte hoy bhi pyar hota hai
Kion dekhte hain hum woh sapne
Jinke tutne per bhi unke sach hone ka intezar hota hai
♥♥————♥♦♥————♥♥
ایک ہی اپنا ملنے والا تھا
ایسا بچھڑا کہ پھر ملا ہی نہیں
Aik hi apna milne wala tha
Aesa bichra kh phir mila hi nahi
♥♥————♥♦♥————♥♥
میں منتظر ہوں تیری دید کا
تو نظر آئے چاند بن کر عید کا
Main muntazir hun, teri deed ka
Tu nazar aaye chand ban ker eid ka
♥♥————♥♦♥————♥♥
آپ کا اعتبار کون کرے
روز کا انتظار کون کرے
Aap ka aitbar kon kary
Roz ka intizar kon kary
♥♥————♥♦♥————♥♥
یہ سوچ کر کہ تیرا انتظار لازم ہے
تمام عُمر کِسی کی طرف نہیں دیکھا
Yeh soch kar kay tera intezar lazam hai
Tamam umer kisi ki taraf nahi dekha
♥♥————♥♦♥————♥♥
اب راہ تکنے کی باری تُمہاری ہے
ہم اب کبھی تیری دہلیز پر نہیں آئیں گے
Ab rah taknay ki bari tumhari hai
Ham ab kabhi teri dehleez par nahi aain gain
♥♥————♥♦♥————♥♥
شبِ انتظار کی کش مکش میں نہ پوچھ کیسے سحر ہو ئی
کبھی اِک چراغ جلا دیا کبھی اِک چراغ بُجھا دیا
Shab-e-intezar ki kash makash mein na poch kesy seher hoi
Kabhi ik chragh jala dia kabhi ik charagh bhuja dia
♥♥————♥♦♥————♥♥
اِنتظار بھی کِسی کا کِتنا ظالم ہوتا ہے
جگاۓ تو ساری رات رٌلاۓ تو ساری عٌمر
Intezar bhi kisi ka kitna zalim hota hai
Jagaye tu sari raat, rulaye tu sari umer
♥♥————♥♦♥————♥♥
Read More: Romantic Barish Poetry