Banam e Taqat Koi Ishara Nahi Chaley Ga

Banam e Taqat Koi Ishara Nahi Chaley ga

Poet: Mohsin Naqvi

Banam e Taqat Koi Ishara Nahi Chaley ga - mohsin naqvi

TRITRANSLATIONS

Banam e taqat koi ishara nahi chaley ga
Uddas naslon pe ab ojara nahi chaley ga.

Hum apni dhartee se apni her simat khud talashain
Hamari khatir ko sitara nahi chalega.

Hayaat ab shaam e gam ki tashbeeh khud banegi
Tumhari zulfon ka iste aara nahi chaley ga.

Chalo saron ka kharaaj nok sinaaaan ko bakhshain
Ke jaan bachaney ka isstikhara nahi chaley ga.

Hamarey jazbey baghavaton ko tarashtain hain
Hamarey jazbon pe bas tumhara nahi chaley ga.

Azzal se qayem hain dono apni ziddon pe Mohsin
Chalega pani magar kinara nahi chaley ga.


1 thought on “Banam e Taqat Koi Ishara Nahi Chaley Ga”

  1. You have written a very helpful post, I appreciate it if you continue to write in the same way and solve people’s problems

Comments are closed.