Poet: Parveen Shakir
Main Apni Dosti Ko Shehar Mein Ruswa Nahi Karti
Main Apni Dosti Ko Shehar Mein Ruswa Nahi Karti
Mohabbat Main Bhi Karti Hoon Magar Charcha Nahi Karti۔
Jo Mujh Se Milne Aa Jaye Main Us Ki Dil Se Khadim Hoon
Jo Uth Ke Jana Chahey Main Usey Roka Nahi Karti۔
Jise Main Chhor Deti Hoon Usey Phir Bhool Jati Hoon
Phir Us Hasti Ki Janib Main Kabhi Dekha Nahi Karti۔
Tera Israar Sir Aankhon Pe Ke Tum Ko Bhool Jaon Main
Main Koshish Kar Ke Dekhon Gi Magar Wada Nahi Karti۔
Kiun Rakhon Main Apne Qalam Mein Sayahi
Jab Koi Armaan Dil Mein Machalta Hi Nahi۔
Na Jane Kiun Sab Hi Shak Karte Hain Mujh Par
Jab Sookha Gulab Meri Kitaabon Mein Milta Hi Nahi۔
Kashish To Bohat Thi Mere Piyar Mein
Magar Kiya Karon Koi Pathar Dil Pighalta Hi Nahi۔
Agar Khuda Mile To Us Se Apna Piyar Mangon Gi
Par Suna Hai Wo Marne Se Pehley Kisi Se Milta Hi Nahi.
Comments are closed.