Ek Zakhm Bhi Yaran-e-Bismil Nahin Aane Ka

Poet: Jaun Elia

Ek Zakhm Bhi Yaran-e-Bismil Nahin Aane Ka

Ek Zakhm Bhi1-Ek Zakhm Bhi Yaran

Ek zakhm bhi yaran-e-bismil nahin aane ka,
Maqtal mein padre rahiye qatil nahin aane ka.

Ab kuch karo yaro sahra se ki sunte hain,
Sahra mein ab aainda mahmil nahin aane ka.

Waa-az ko Kharabe mein ek dawat-e-haq di thi,
Main jaan raha tha wo jahil nahin aane ka.

Buniyaad-e-jahan pahle jo thi wahi ab bhi hai,
Yun hashr to yaran-e-yak-dil nahin aane ka.

But hai ki khuda hai wo mana hai na manunga,
Us shokH se jab tak main Khud mil nahin aane ka.

Gar dil ki ye mahfil hai Kharcha bhi ho phir dil ka,
Bahar se to saman-e-mahfil nahin aane ka.

Wo naf pyale se sarmast kare warna,
Ho ke main kabhi us ka qail nahin aane ka.