Poet: Wasi Shah
Samander Mein Utarta Hon Tu Aankhain Bheeg Jaati Hain
TRANSLITERATION
Samander mein utarta hon tu aankhain bheeg jaati hain
Teri ankhon ko perta hon to aankhain bheeg jaati han
Tumhara naam lekhne ki ijazat chen gai jab se
Koi bhi lafz likhta hon tu aankain bheeg jaati hain
Teri yadon ki khoshbo kherkion mein rakas kerti hai
Tere gham mein sulaghta hon tu aankhain bheeg jati hain
Na jane ho gia hon is qadar hasas mein kab se
kisi se bat kerta hon tu aankain bheeg jaati hain
Mein saara din bahot masroof rehta hon mager jonhi
Qadam chokhat pe rakhta hon tu aankain bheeg jaati hain
Her ek muflas ke maathe per alam ke dastanain hain
Koi chehra bhi parhta hon tu aankhain bheeg jaati hain
Bare logon ke unche badnuma aur serd mahlon ko
Gharib aankhon se takta hon tu aankhain bheeg jati hain
Tere koche se ab mera taaluq wajbi sa hai
Mager jab bhi ghuzarta hon tu aankhain bheeg jati hain
Hazaroon musmamon ki hukmrani hai mere dil per
Wasi mein jab bhi hansta hon tu aankhain bheeg jaati hain.
Comments are closed.