Sweet Mother’s Day Poetry and Poem That Celebrate Your Special Relationship With Mom
Mother’s Day Poetry in Urdu

Main Nay Kal Shab Chahto Ki Sab Kitaben Phar Den
Sirf Ik Kagaz Pay Likha Lafz Maa Rehny Diya
♥♥————♥♦♥————♥♥
Abhi Zinda Hai Maan Meri Mujhay Kuch Bhi Nahi Ho Ga
Main Ghar Say Jab Nikalta Hoon Dua Bhi Sath Chalti Hai
♥♥————♥♦♥————♥♥
Kama Ke Daulat Mein Maat Ko Itni Na De Paya
Jitne Peson Se Wo Mera Sadqa Utara Kerti Thi
♥♥————♥♦♥————♥♥
Logon Se Keh Do Meri Taqdeer Se Jalna Chor Den
Hum Ghat Se Daulat Nahi “Maan” Ki Dua Le Ker Nikalte Hain
♥♥————♥♦♥————♥♥

Maa Kay Chehry Ko Dekh Kar Muskura Diya Karo
Har Kisi Ki Qismat Main Haj Nahi Hota
♥♥————♥♦♥————♥♥

Sakht Raton Main Bhi Asan Safar Lagta Hay
Yeh Meri Maan Ki Duaon Ka Asar Lagta Hay
♥♥————♥♦♥————♥♥

Sanata Sa Cha Gaya Batwary Kay Qisy Main
Pocha Jab Maa Nay Main Hon Kis Kay Hissy Main
♥♥————♥♦♥————♥♥

Meri Maa Ki Duaon Se Perashan Hai Mera Dushman
Woh Jab Bhi Waar Kerta Hai Tu Khanjer Tut Jaata Hai
♥♥————♥♦♥————♥♥

Mery Rab Nay Maa Ko Esa Rutba Diya
Muhabbat Say Maa Ko Dekhna Bhi Ibadat Bana Diya
♥♥————♥♦♥————♥♥

Bartan Manj Kar Maa Do Char Bachy Paal He Leti Hai
Magar Do Char Bacho Say Ek Maa Nahi Pali Jati
♥♥————♥♦♥————♥♥

Ye kaamyabiyan izzat ye nam tum se hai
Ye kaamyabiyan izzat ye nam tum se hai
Ai meri man mera sara maqam tum se hai
Tumhaare dam se hain mere lahu mein khilte gulab
Mere wajud ka sara nizam tum se hai
Gali gali mein jo aawara phir raha hota
Jahan-bhar mein wahi nek-nam tum se hai
Kahan bisat-e-jahan aur main kamsin-o-nadan
Ye meri jit ka sab ehtimam tum se hai
Jahan jahan hai meri dushmani sabab mein hun
Jahan jahan hai mera ehtiram tum se hai
Ai meri man mujhe har-pal rahe tumhaara KHayal
Tum hi se subh meri meri sham tum se hai
Ye kaamyabiyan izzat ye nam tum se hai
Ai meri man mera sara maqam tum se hai.
♥♥————♥♦♥————♥♥
You May Interest:
Comments are closed.