Jama Tum Ho Nahi Sakte – Wasi Shah

Poet: Wasi Shah

Jama Tum Ho Nahi Saktewasi shah ghazal Jama Tum Ho Nahi Sakte

Jama Tum Ho Nahi Sakte

ﺟﻤﻊ ﺗﻢ ﮨﻮ ﻧﮩﯿﮟ ﺳﮑﺘﮯ
ﮨﻤﯿﮞﻤﻨﻔﯽ ﺳﮯ ﻧﻔﺮﺕ ﮨﮯ

ﺗﻤﮩﯿﮟ ﺗﻘﺴﯿﻢ ﮐﺮﺗﺎ ﮨﻮﮞ
ﺗﻮ ﺣﺎﺻﻞ ﮐﭽﮫ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮﺗﺎ

ﮐﻮﺋﯽ ﻗﺎﻋﺪﮦ ﮐﻮﺋﯽ ﮐُﻠﯿﺎ
ﻧﮧ ﻻﮔُﻮ ﺗﺠﮫ ﭘﮧ ﮨﻮ ﭘﺎﺋﮯ

ﺿﺮﺏ ﺗﺠﮫ ﮐﻮ ﺍﮔﺮ ﺩﻭﮞ
ﺗﻮ ﺣﺴﺎﺑﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺧﻠﻞ ﺁﺋﮯ

ﺍﮐﺎﺋﯽ ﮐﻮ ﺩﮨﺎﺋﯽ ﭘﺮ
ﻣﯿﮟ ﺩﻭﮞ ﻧﺴﺒﺖ ﺗﻮ ﮐﯿﺴﮯ ﺩﻭﮞ

ﻧﮧ ﺍﻟﺠﺒﺮﺍ ﺳﮯ ﻟﮕﺘﮯ ﮨﻮ
ﻧﮧ ﮨﻮ ﮈﮔﺮﯼ ﻧﮑﻞ ﺁﺋﮯ

ﻋﻤﺮ ﯾﮧ ﮐﭧ ﮔﺌﯽ ﮨﻤﺎﺭﯼ
ﺗﺠﮭﮯ ﺍﮮ ﺩﻭﺳﺖ ﺳﻤﺠﮭﺎﻧﮯ ﻣﯿﮟ

ﺟﻮ ﺣﻞ ﺍﮔﺮ ﺗﯿﺮﺍ ﻧﮑﻠﮯ
ﺗﻮ ﺳﺐ ﮐﭽﮫ ﮨﯽ ﺍُﻟﺠﮫ ﺟﺎﺋﮯ

ﺻﻔﺮ ﺗﮭﯽ ﺍﺑﺘﺪﺍﺀ ﺗﯿﺮﯼ
ﺻﻔﺮ ﮨﯽ ﺍﺏ ﺗﮏ ﺗﻢ ﮨﻮ

ﺻِﻔﺮ ﺿﺮﺏِ ﺻِﻔﺮ ﮨﻮ ﺗﻢ
ﻧﮧ ﺟﺲ ﺳﮯ ﮐﭽﮫ ﻓﺮﻕ ﺁﺋﮯ

Jama Tum Ho Nahi Sakty
Mujhy Manfi Say Nafrat Hai,

Tumhay Taqseem Kartay Hain
To Hasil Kuch Nahi Aata,

Koi Qaida, Koi Kulya
Na Laagoo Tujh Pay Ho Paye,

Zarab Tujh Ko Agar Do To
Hisabon Mai Khalal Aaye,

Ikai Ko Dahai Par
Mai Nisbat Doon To Kesay Doon,

Na Aljebra Say Lagty Ho
Na Ho Digree Nikal Aaye,

Umer Ye Kat Gai Meri
Tujhay Humdam Samajhnay Mai,

Jo Hal Tera Agar Niklay
To Sab Kuch He Ulajh Jaye,

Sifar Thi Ibtida Meri, Sifar He Ab Talak Tum Ho
Sifar Zarb-e-Sifar Ho Tum, Na Jis Say Kuch Faraq Aaye.