Poet: Wasi Shah
Sochta Hon Ke Usay Neend Bhi Aati Hogi


TRANSLITERATION
Sochta Hon Ke Usay Neend Bhi Aati Hogi
Ya meri tarha faqat ashaq bahati ho gi.
Wo meri shakal mera naam bholane wali
Apni tasveer se kia aankh milati ho gi.
Is zameen pe bhi hai silab mere ashqon se
Mer matam ki sada arsh helati ho gi.
Sham hote hi wo chokhat pe jila ker shamen
Apni palkon pe kai khawab sulati ho gi.
Us ne silwa bhi ley honge siya rang ke libas
Ab mehram ki tarha eid manati ho gi.
Hoti ho gi mere bosy ki talab mein pagal
Jab bhi zolfon mein koi phol sajati ho gi.
Mere tareek zmano se nikalane wali
Roshni tuj ko meri yad dilati ho gi.
Dil ki masoom ragain khud hi sulaghti hongi
Jonhi tasveer ka kona wo jilati ho gi.
Roop de ker mujhy is mein kisi shehzadi ka
Apne bachon ko kahani wo sunati ho gi.
Read More: Listen This Ghazal
Compiled & Published by: Poetryinurdu Editorial Team
All poetry, and quotes belong to their respective authors.
Poetryinurdu curates and presents them for educational and inspirational purposes.