Kal Hamesha Ki Tarah Us Ne Kaha Ye Phone Par

Poet: Wasi Shah

Kal Hamesha Ki Tarah Us Ne Kaha Ye Phone Par

wasi shah Kal Hamesha Ki TarhaKal Hamesha Ki Tarha Us Ne Kaha Ye Phone Par

TRANSLITERATION

Kal hamesha ki tarah us ne kaha ye phone par
Mein bahot masroof hon muj ko bahot se kam hain

Is ley tum aao milny mein tu aa sakti nahi
Her rawait tur ker is bar mein ne keh dia

Tum jo ho masroof mein bhi bahot masroof hon
Tum jo ho mashhoor main bhi bahot masroof hon

Tum agr ghamgin ho mein bhi bahot ranjoor hon
Tum thakan se choor tu mein bhi thakan se choor hon

Jan e man hai waqat mera bhi bahot hi qimati
Kuch purany doston ne milny aana hai abhi

Mein bhi ab farigh nahi mujy ko bhi lakhon kam hain
Warna kehny ko tu sab lamhy tumhary nam hain

Meri aankhain bhi bahot bojhal hain sona hai mujy
Ratajkon ke bad ab neendon mein khona hai mujhy

Mein laho apni anaon ka baha sakta nahi
Tum nahi aati tu milne mein bhi aa sakta nahi

Us ko ye keh ker wasi mein ne raseewar rakh dia
Aur phir apni ana ke paon pe sar rakh dia.